Skip to main content

Lohe Atarad Ba Moakkil لوح عطارد با موکل (In Urdu And Roman English)



LOHE ATARD BA MOAKKIL
Khuda ke fazal se is ssal sharaf e atard me humne ek aisi pur taseer Lohe Atard ba moakkil tyar ki hai jis ki jitni bhi tareef ki jaye kam hai yeh baat to funne amaliyat wattaweezat ke waqif karo.n se poshida nahi ke kisi bhi saiyare ki sharaf ya auj me ya saad nazraat ba deegar saiyargaan me jo naqoosh ,taweez ya talism lkhy jate hain khwah yeh nihayat sada tareek par pur kiye gaye ho.n ,waqte makhsoos me banaye jane ke sabab taseer e kulli rakhte hain jab in sada naqoosh o talismat ka yeh haal hai to woh ba moakkil naqoosh o talismat jo Almalaaikah Walawaan jaise maya naaz jafri qwaid ke tehat tyar kiye jaye.n jin me Miftaah, Mughlaaq, Adal , Waqf , Masahat , Zabta , Ghayat aur Asal ke istekhraj se 8 moakkil Alwi aur 8 Awaan ya jin baramad karke naqsh ya talism ko harkat karne par majboor kia jata hai ,aise naqoosh kis qadar taseer ke hamil honge aise naqoosh o talismat ki qarar waqai quat ka andaza karna ek mshkil amar hai ,humare yehan aise makhsoos waqto.n me maslan Zohara , Shams , Marrikh , Qamar , Zohal , Mushtari ke sharfaat aur deegar saad nazraat me bamoakkil naqoosh hi ziada tar tyar kiye jate hain ab raqimussutoor Imran Razvee Lohe Atarad ba moakkil ki mukhtasar khasiyat qalamband karte hue mazmoon ka ikhtetam karta hai , 
Lohe Atard ba moakkil ki khasiyat mandarja zeil hain.
@Har qisam ke imtehan me kamyaabi
@Tahreeri fun me maharat
@Taqreeri salahiyat me izafa
@Uloom ke husool me asani
@Ulama aur Peeran e Ezaam ki taskheer
@Band kaam ka jaari hona
@Husool e rizq me aasani
@Kund zahni ka ilaj
@ Nisyaan yani bhulne ki bimari ka khatma
@Dimaghi har qisam ke amraaz ka shafi ilaj
@Zahni istedad me khwatir khwa izafa
@Quwat e Hafiza me ghair mamuli taraqqi
@ Bachcho.n ka taleem me dilchaspi lena
@ Mulazimat naukri me taraqqi
@Kisi deeni dunyawi safar me kaam yabi
@ Malikholia aur pagal pan ka ilaj
@ Bank me kam karne wale afrad ke liye khususi talism hai
@ Padhne likhne wale chhote bachho.n aur muqabla jaati imtehan me baithne wale bade bachhon ke liye ek nemat e ghair mutaraqqaba hai.

Comments

  1. Asslam o alikum muje loh atarad chahiye app ka whatsupp hy

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Sharaf e Zohra Aur lohe Taskheer e khalq شرف زہرہ اور لوح تسخیر خلق (Venus Glory And Captivation Talisman)

SHARAF E ZOHARA AUR LOH E TASKHEER E KHALQ Is saal zohra saiyara ko 17 february 2015 sham 7 baje se lekar 18 february 2015 din ke 2 baje tak sharaf  hoga is waqt yeh saiyara burj e haut ke athaaisween darje par hogi jo ke iska sharafi darja hai ,jab koi bhi saiyara apne sharafi darajat par pohach jata hai to goya who apni tamam tar khubyon aur aur saad roohani qoowat ki inteha ko pohanch chuka hota hai Khuda e Qadeer ne har saiyaare ke mukhtalif darajat me jab ke who apne mehwar par gardish karta hua pohachta hai ek khaas qisam ki taaseer wedeyat ki hai aur yeh us Qaadir e Mutlaq ki nishaaniyan hain jisey ahle ilm bakhubi jaante hain aur mustafeed hote hai amaliyat ki roohani dunya ka talluq barahe raast saba saiyaargaan ki raftar  isteqamat o rajat aur bara burjon ke mukhtalif darjat sy hai, is par sharah o basat se likhne ki feal haal yehan haajat nahi kiyonke yeh ek alag mustaqil mozu hai albatta hubb o taskheer ke talluq se itna arz karna zaroori hoga ke siyara zohra ch

IMAM FAKHRUDDIN RAAZI AUR ILMUTTALISMAT امام فخرالدین رازی اور علم الطلسمات (In Urdu And Roman English)

IMAM FAKHRUDDIN RAZI AUR ILMUTTALISMAAT  By IMAM FAKHRUDDIN RAAZI  Rahmatullah Alaih TLISM BARAYE IZAT O MANSAB AGAR JAAHO JALAL AUR IZZAT O MANSAB KI KHATIR TILISM BANANA MAQSOOD HO TO US KE LIYE BEHTAR HAI KE AFTAB BURJ HAMAL KE PEHLE YA CHAUTHE YA PANCHVI YA CHAUDHVI YA PANDRAVI YA ATHARVI DARJA ME HO YA BURJ SOOR KE AATHVI DARJE ME HO YA BURJ JUZA KE PANCHVI YA CHATTHI YA GYARHAVI DARJA ME HO YA BURJ SARTAN PANDRAVI DARJE ME HO YA BURJ ASAD KE ATTHARVI YA SATTAISVI DARJA ME HO YA MIZAAN KE PEHLE YA DUSRE YA UNNISVE YA BAISVE DARJA ME HO YA BURJ AQRAB KE PEHLE DARJA ME HO YA BURJ HOOT KE PANCHVI YA TEESVI DARJA ME HO AUR MARIKH AFTAB KE NAVI YA DASVI DARJA ME HO  AUR ZOHAL UN BURJO ME SE EK ME BURJE AFTAB SE SAQIT HO AUR AFTAB MASHRIQI KINARA ME HO LOHE CHINI KA EK NAGINA LE KAR US PE ADMI SURAT US TARAH KANDA KARE KE WO TAJ SAR PAR RAKHE KE KURSI PAR BAITHA HAI AUR EK ASDAHA NE USE HAR TARAF SE USE GHER RAKHA HAI US KE DAEN HAATH ME KHANJAR AUR BAYEN