IMAM FAKHRUDDIN RAZI AUR ILMUTTALISMAAT
By IMAM FAKHRUDDIN RAAZI Rahmatullah Alaih
TLISM BARAYE IZAT O MANSAB
AGAR JAAHO JALAL AUR IZZAT O MANSAB KI KHATIR TILISM BANANA MAQSOOD HO TO US KE LIYE BEHTAR HAI KE AFTAB BURJ HAMAL KE PEHLE YA CHAUTHE YA PANCHVI YA CHAUDHVI YA PANDRAVI YA ATHARVI DARJA ME HO YA BURJ SOOR KE AATHVI DARJE ME HO YA BURJ JUZA KE PANCHVI YA CHATTHI YA GYARHAVI DARJA ME HO YA BURJ SARTAN PANDRAVI DARJE ME HO YA BURJ ASAD KE ATTHARVI YA SATTAISVI DARJA ME HO YA MIZAAN KE PEHLE YA DUSRE YA UNNISVE YA BAISVE DARJA ME HO YA BURJ AQRAB KE PEHLE DARJA ME HO YA BURJ HOOT KE PANCHVI YA TEESVI DARJA ME HO AUR MARIKH AFTAB KE NAVI YA DASVI DARJA ME HO AUR ZOHAL UN BURJO ME SE EK ME BURJE AFTAB SE SAQIT HO AUR AFTAB MASHRIQI KINARA ME HO LOHE CHINI KA EK NAGINA LE KAR US PE ADMI SURAT US TARAH KANDA KARE KE WO TAJ SAR PAR RAKHE KE KURSI PAR BAITHA HAI AUR EK ASDAHA NE USE HAR TARAF SE USE GHER RAKHA HAI US KE DAEN HAATH ME KHANJAR AUR BAYEN HAATH KI SIYAAH UNGLI(SHAHADAT KI UNGLI )MUH ME DABAYE BAITHA HAI YE AMAL US BURJ KE TULOO HONE KE ARSE ME KE JIS KE AFTAB KHATAM HOJANA CHAHIYE JAB YE SHAKL ACHI TARAH TAYYAR HOJAYE TO QADRE KHALIS SONA AUR ANGUTHI KA SANCHA APNE PAAS MAUJOOD RAKHE YA AFTAB APNI PEHLI SURAT PAR PAHUNCHE TO ANGUTHI SANCHA ME DAAL KAR YE NAGINA USME JAD DE AUR USE JALADE KAR SHISHE KE SAAF GLAAS JO SAFED YA ZARD HO US ME RAKH DEAUR US GLAAS KA MUH SAAF KAPDE SE MAZBOOT BAANDH DE PHIR USE BARABAR SAAT RATIEN BURJ JOOZA KE SAMNE LATKAYE JAB BURJ JOOZA GUROOB HO JAYA KARIEN TO GLAAS UTHA KAR MAHFOOZ JAGAH PAR RAKH DIYA KARIEN JO SHAKHS YE ANGUTHI APNE PAAS RAKHIEN GA LOGON KI NIGAH ME ROB AUR SAHIBE IZZAT HOGA LADAYI ME JAYEGA TO FATAH HASIL KARE GA ALFARZ US KE QAYDE BE SHUMAR HAI AUR TAJURBA UN KI SACHAI KI MAZBOOT DALEEL HAI
DARINDON KA TILISM
JIS WAQT MARIKH BURJ SOOR KE CHAUTHE DARJA YA BURJ JOOZA JE CHAUBISVE DARJA YA BURJ ASAD KE ATHVE DARJA YA BURJ JADEE KE UNISVEE DARJA YA BURJ DALOO KE NAVI DARJA ME HO AUR AFTAB MARIKH KE QAREEB HO AGAR QAREEB NA HO TO AFTAB MARIKH KE NAVI YA DASVI YA GYARHAVI DARJA ME HO QADRE SAAF SARKH TANBA LE KAR EK AISE ADMI KI SURAT DHALE JO SHAR PAR SAWAR HO US KE SAR PAR TAJ HO AUR US KE TEEN SEENG HO US KE DAYEN HAATH ME LOHE KA GARZ AUR BAYEN HAATH ME MURGA HO AGAR YE TEENO YANI ADMI MURGA AUR SHER IKATHE NA BANA SAKE TO ALHADA ALHADA BANAKAR UNHE JOD LE PHIR US AADMI KI DONO RANO ME US ANDAZ SE SURAKH KARIEN KE WO SURAKH ME SHAR KE SHIKAM ME AKAR CHAAR HO JAYEN PHIR LOHE KI MEEKH LE KAR US SURAKH ME DE DE MEEKH KE DONO SARE US ANDAZE ME GADHE KE MEEKH ANDAR DHANSI HUI MALOOM NA HO PHIR LOHE YA TAMBE KA EK DEGCHA LE KAR YE PUTLA US ME RAKH DE AUR ITNA ROGAN ZAITOON DALE KE TEEN UNGLI KE QAREEB ROGAN UPAR RAHE BAAD ME DHIMI AANCH SHURU KAR DE EK UBAAL AJAYE TO AAG JALANA CHOD DE KUCH DER BAAD PHIR AAG ROSHAN KARIEN ALGARZ SAAT DAFA JOSH DE PHIR PUTLE KO SAAF KAR KE SAAT RATIEN BURJ ASAD KE SAMNE LATKAYE BURJ ASAD GUROOB HOTO PUTLE KO MAHFOOZ JAGAH PAR RAKH DE JIS WAQT BURJ ASAD KE SAMNE LATKAYE US WAQT AUR IKLEELILMULK KI DHUNI DE MAHFOOZ RAHEGA AGAR DARINDON ME CHALA JAYEGA USE KUCH NA KAHENGE AGAR YE TILISM UNKE SAMNE KAREGA TO WO US KI TAWAZA KARENGE
MAAL O RIZK KA TILISM
MUSHTARI BURJ HAMAL KE SATTARHAVI DARJA YA BURJ ASAD KE PANDRHAVI DARJA YA BURJ MIZAAN PACHISVI YA UNTEESVI DARJA YA BURJ JADI KE ATHARVI DARJA ME HO MUSHTARI AFAQ PAR HO ZOHRA AUR AFTAB USKE MUNAZIR AUR USSE SAQIT HO AGAR YE SARI BATIEN NA HO TO USSE ZAROOR SAQIT HO ZOHRA NAZIR FAUQULARZ HO US WAQT EK KHALIS SONE KI PATRI DHAAL LE AYE ACHI TARAH SAAF KARE MUSHTARI APNI PEHLI HALAT PAR LAUTE TO PATRI EK TARAF MUSHTARI KI TASWEER KHINCHYE AUR DUSRI TARAF GOYA MIMBAR PAR BAITHA HUA EK MARD HAI JIS KE BAYEN HAATH ME TARAZU DAYEN HAATH ME RASSI LE RAKHA HAI YSE MUSHTARI KE SAMNE SAAT RATIEN LATKAYE PHIR US PATRI KE SAR PAR SURAKH KAR KE US ME RESHAM KE DHAGA DAAL KAR GALE ME LATKALE US KA HAATH FARAKH RAHEGA WAQT BAHUT ACHA GUZREGA MAAL BAKASRAT HAATH ME AYEGA AUR BESHUMAR FAYEDA HASIL KAREGA
PANI AUR BARISH KA TILISM
JAB AFTAB KA CHAND KE SAATH BURJ SOOR YA BURJ JOOZA KE PEHLE YA PANDRHAVI DARJA YA BURJ SARTAAN KE TERVI DARJA YA BURJ AQRAB KE PANDRHAVI DARJA YA PACHISVI DARJA YA BURJ DALU KE PANDRHAVI DARJA YA BURJ HOOT KE CHAUBISVI YA CHAUTHE YA ATHVI YA DASVI YA SATAISVI YA CHAUBEESVI DARJA ME IJTAMA HO EK BADA MOTA SA SISHA LE KAR US PAR US TARAH TASWEER KHINCHEN NANGA JISM SIRF TAHBAND BANDHE HUE KAMAAN PAR TEK LAGAYE ANKHEN UPAR AUR HAATH DUA MANGNE WALON KI TARAH UTHAYE KHADA HAI US KE SAMNE HIRAN CHAR RAHA HAI AUR EK HIRAN KI SHAKL KA MURG AUR KACHUA ABHI MAUJOOD HAI AGAR YE TASWEER EK WAQT ME KHATM NA HO SAKE TO AFTAB KKI DOBARA US HALAT ME MUKAMMAL KARE BAAD ME OOD ZAFRAN KUNDAR MUSTAGI
YE TAMAM CHIZEIN HUM WAZAN LE KAR HUM KHUB PEES LE AUR MIA ME GUND KAR CHANE KE BARABAR GOLIYAN BANA LE RAAT KE WAQT WO TASWEER ALAG GOLI BURJ HOOT KE SAMNE RAKH DE HOOT GUROOB HO JAYE TO CHUPA DE SAAT RATIEN YAHI AMAL KARIEN PHIR SONE CHANDI EK BAALSHAT LAMBI SILAI LE KAR BADAN SE TAMAM KAPDE AUR DASTAAR KE SHAMLE SE BADAN DHANPE SHEESHA BAYEN HAATH ME AUR SILAI DAYEN HAATH ME PAKAD LE AUR SILAI PAYE DAR PE SHEESHA MARTE AUR GOLIYON KI DHOONI DE BARISH SHURU HO JAYE GI JAB TAK SHEESHA KO NA CHUPAYEGA BARISH KHATAM NA HOGI
MUHABBAT KA TILISM
JAB ZOHRA BURJ HAMAL KE PACHISVI DARJA YA BURJ SOOR KE DUSRE YA CHAUTHE DARJA YA BURJ ASAD KE NAVI DARJA YA SANMBLA KE NAVI DARJA YA CHAUDHVI DARJA YA MIZAAN KE CHAUDHVI DARJA YA AQRAB KE SOLHAVE DARJA YA BURJ DALU KE ATHARVI YA UNISVI DARJA YA BURJ HOOT KE TEESRE DARJA ME WAQE HO AUR CHAND US KE SAATH MOHASDA ME HO YA CHAND AFTAB KE SAATH MAQARAN HO YA CHAND ZOHRA KE TEESRE YA CHATE DARJA PAR WAQE HO AUR MARIKH YS SE SAQIT HO US WAQT EK BADA LAJURWAHI NAGINA LE AGAR US NAGINA ME SUNHERI NISHANAT HO TO AUR BHI UMDA HAI US NAGINA PAR DO LADKIYON KI SHAKL IS BTARAH BANAYE KE UNHONE EK DUSRE KI GARDAN ME BAHIEN DAAL RAKHI HO AUR KABUTAR KI SHAKL JO APNE BACHE KO CHUG (GIZA)DE RAHA HO US PAR GUL REHAN KI TEHNI KI SHAKL BHI KUNDA KARIEN JAB KUREDNA SHURU KARIEN USE US WAQT ZOHRA AFAQ MASHRIQ ME HONA CHAHIYE NEZ YA AMAL ZOHRA JIS BURJ ME SE US KE PURE TULOO KARNE SE PEHLE KHATAM HONA CHAHIYE AGAR US WAQT TAK AMAL KHATAM HO TO THAIR JAYE PHIR JAB ZOHRA APNI USI HALAT PAAR LOHE TUBAQI AMAL PURA KARIEN US BAAD NAGINA KE CHARON GOSHON ME US TARAH SURAKH KARIEN KE EK SURAKH DUSRE ME PAHUNCH JAYE UN SURAKHON ME SONE KI MINTHI JOD DE JAB ZOHRA APNI ASLI HALAT PAR WAPAS AYE TO KUCH SONA AUR CHANDI HUM WAZAN LE KAR BAHAM MILA LE AUR US SE ANGUTHI BANAKAR US ME NAGINA JAD DE USE CHAMKA KAR RAAT KE WAQT SHEESHE KE PYALE ME RAKH KAR USE DHAK DE SAAT RATIEN BARABAR SITARA ZOHRA KE NICHE USE RAKHTA RAHE ZOHRA GUROOB HO TO USE CHUPA DIYA KARE US KE NICHE QADRE MUSHK ZAFRAN AUR KAFUR KI DHUNI DETE RAHE SAAT RATIEN GUZAR CHUKE TO ANGUSHTARI KO APNE PAAS RAKH LE JIS KE PAAS IS QISM KI ANGUTHI HOGI TAMAM LOGON BILKHUSUS AURTON KO USSE ZYADA MUHABBAT HOGI YAHAN TAK KE AGAR RASTE ME KISI AURAT SE KISI KAAM KI TALAB KARE GA TO WO WAHI USE PURA KAR DEGI (WALLAHO ALAM)
IS ILM KI HAQIQAT
KHAYAL RAHE KE FLASFA KE NAZDEEK ALLAH TA’ ALA NE ASMANO AUR SITARON ME KHAAS QISM KE ASARAT RAKHE HAI YE ASARAT UN KI MUKHTALIF HARKAAT SE ALIM DUNIYA ME NAMUDAR HOTE HAI BALKE DUNITA KE TAMAM WAQEAT AUR HADSAT APNI ALVI IJRAM KI HARKATON KE TABE HAI HAR SIATARA KISI NA KISI WAQAE SE MUNASBAT RAKHTA HAI HAR BURJ KI ALHADA TASEER BALKE BURJ KE HAR EK DARJA KI KUCH ALHADA TABIYAT HAI YE CHIZIEN UNHE ZAMANA KE TAWEEL TAJURBAT KE BAAD HASIL HOTI HAI ZAHIR HAI KE FAAL MAUJOOD HO AUR FAAL KA QUBOOL KARNE WALA MAUJOOD NAHO TO FAAL KA IZHAR ACHI TARAH NAHIN HO SAKTA HUKMA NE SITARON KE FAAL KI TAVAH KI TO WO US MUQAAM TAK PAHUCHE MAKHSUS ASARAT AUR KHAWAAS SE AZAD HAI INHONE UNHE ALAG KAR DIYA AUR ALIM SIFLI KI ALIYATON SE TALLUQ RAKHNE WALE KAWAKIB KO ALHADA KAR DIYA CHUNANCHA QISM QISM KE KHANO AUR KHUSHBUON AUR RANGON W SHAKLON ME JO CHIZIEN UN KE MUNASIB THI UNHE BAYAN KIYAB JO SHAKHS SITARON KE AFAAL AUR HARKAAT MALUM KARTA HAI WO QAVI ETEQAD AUR YAQEEN RASAKH KE SAATH UN ME GAURO FIKR KARTA JO SHAKHS TILISMAT KO ISTEMAL ME LANA CHAHE USE PEHLE ILM HIKMAT AUR ASRAR TABIYAT SE BAKHUBI WAQIF HONA CHAHIYE NEZ ILM NAJUM SE BHI WAQFIYAT HO AUR TAJURBA BHI HO CHUNKE YE CHIZ BAHUT KAM PAYI JATI HAI LEHAZA IS ILM KI HAQEEQAT BHI LAKHJFI HO GAYI
SITARON KI SURATIEN
ZOHAL EK MARD KI SURAT HAI JIS KA SAR BANDAR KA AUR BADAN ADMI KA HAI US KI DUM KHINZEER KI SI HAI US KE SAR PAR TAJ DAYEN HAATH ME CHALNI AUR BAYEN HAATH ME SAANP HAI MUSHTARI KA CHEHRA GIDH KA AUR BAQI SURAT ADMI KI HAI US KE SAR PAR TAJ HAI AUR TAJ PAR MURGE AUR SAANP KA SAR HAI IS KE DAYEN HAATH ME DASTAAR AUR BAYEN HAATH ME SHAHAD KA LOTA HAI MARIKH EK MARD KI SURAT HAI JIS KE SAR PAR SURKH RANG KA TAJ HAI WO DAYAN HAATH NICHIEN KIYE HUE AUR BAYAN UPAR UTHAYE HUE HAI DAYEN HAATH ME KHUN ALOOD NANGI TALWAAR AUR BAYEN HAATH ME LOHE KA KODA HAI AFTAB EK AISE MARD KI SHAKL HAI JIS KE DO SAR HAI HAR SAR PAR TAJ HAI AUR HAR TAJ KE SAAT PHANDE HAI AUR WO GHODE PAR SAWAAR HAI US KA CHEHRA ADMI KA HAI AUR SAANP KI DUM HAI DAYEN HAATH ME SONE KI CHADI AUR GALE ME JAWAHARAT KA HAAR HAI ZOHRA US KI SHAKL ADMI KI RANG SURKH SAR PAR TAJ JIS KE SAAT PHANDE HAI DAYEN HAATH ME TEL KI BOTAL AUR BAYEN HAATH ME KANGI HAI ATAARWAN KA BADAN MACHLI KA AUR CHEHRA KHINZEER KA HAI US KA EK HAATH SIYAH AUR DUSRA SAFED HAI SAR PAR TAJ HAI AUR US KI DUM MACHLI KI HAI DAYEN HAATH ME QALAM AUR BAYEN ME DAWAT HAI QAMAR KI SHAKLI EK MARD KI HAI JO SAFED GAI PAR SAWAR HAI US KE SAR PAR TAJ HAI JIS KE TEEN PHANDE HAI DONO HAATHON ME KANGAN AUR GARDAN ME SABZ TOOQ HAI DAYEN HAATH ME YAQOOT KI CHADI AUR BAYEN HAATH ME REHAAN KI TEHNI HAI ALBUZATEES BABLI NE IS TARAH BAYAN KIYA HAI AGARCHE NAJUMIYON IS BARE ME IKHTELAF HAI AQL KO IS KOI DAKHL NAHIN HAI
SITARON KI DAWAT
AJAM KE BADSHAH JINHONE NE NOOR YA NOORANI CHIZON KO APNI DUA KA QIBLA BANAYA HUA THA HAMESHA SUTARON KI PUJA KARTE THE BILKHUSUS JAB SITARA APNE KHANA YA SHARF ME HOTA AUR MANOOS NAZAR SE KHALI HOTA US JIN CHIZON KA TALLUQ US SITARA SE HOTA UN SAB KO JAMA KAR KE UN KI IBADAT ME MASHGUL HO JATE CHUNANCHA AGAR KOI SHAKHS AFTAB KI DAWAT KARNI CHAHTA ITLASI AUR ZARBAFTI KAPDE PEHEN LETA SONE KI CHIZON SE APNE APKO ARASTA KARTA APNE TAJ ME BAHUT SE YA QUAT AHMAR RAKH LETA BAAD ME KISI JAGAH BATH KAR TANHAI YA KHILWAT ME KAFI RIYAZAT KARTA US RIYAZAT SE FARIG HOTA TO QURBANI KARTA AUR YE JO KAHA JATA HAI KE AJAM KE BADSHAH HAMESHA TAJ PEHNE REHTE THE AUR ZARBAFTI LIBAS SE ARASTA AUR SAJE REHTE THE TO USKI WAJAH YAHI THI KE WO AFTAB PARAST THE AUR USI SE APNI HAJAT RAWAI KIYA KARTE THE MAGAR HAMARI SHARIYAT ME JO SHAKHS AISA KAAM KARE WO KAFIR HO JATA HAI MARIZON ME SHUMAR KIYA JATA HAI AGAR LOGO ME YE CHIZ NA HOTI TO HUM IS KITAB ME USKA ZIKR TAK NA KARTE MAGAR HUM KHABARDAR KARTE HAI KE AISE AMAL KE QAREEB BHI NA JAYE HO SAKTA HAI KE US SE DINVI MAQSOOD HASIL HO JAYE MAGAR DEEN TABAH HO JAYEGA AUR AQEBAT KE AITBAARSE YE GHATE KA SAUDA HAI
SITARON KE QABILE
AFTAB MARIKH AUR MUSHTARI EK DUSRE KE MAVIN AUR MADADGAR HAI USI TARAH ZOHAL ZOHRA AUR ATARU BHI EK DUSRE KE MADAD MAVIN HAI QAMAR MARIKH AUR MUSHTARI BHI APAS ME DOST HAI MAGAR AFTAB AUR ZOHAL QAMAR AUR ZOHAL MARIKH AUR ZOHRA AUR MUSHTARI AUR ATARU EK DUSRE KE DUSHMAN HAI
SITARON KE RANG
ZOHAL KA RANG SIYAH AUR MAZA KADVA HAI MUSHTARI KA RANG KHAKI AUR ZAIKA MEETHA HAI MARIKH KA RANG SURKH AUR MAZA TALKH HAI AFTAB KA RANG ZARD AUR MAZA TEZ HAI ZOHRA KA RANG SAFED AUR MAZA CHARB HAI ATARU KA RANG NEELA AUR MAZA TARSH HAI QAMAR KA RANG AUR MAZA KHARI HAI
HAR SITARA KI DHOONI AUR PATTHAR
YAQOOT ALMAAS AQEEQ AFTAB KI MANSOOB HAI AFTAB KI DHUNI OOD HAI CHAND KA PATTHAR JAZA HAI JISE MAHRA SULEMANI KEHTE HAI DHUNI US KI KUNDAR HAI ZOHAL KA PATTHAR HAR SIYAH RANG KA PATTHAR HAI US KI DHUNI MANIA HAI MUSHTARI KA PATTHAR WO HAI JIS KA RANG KHAKI HAI US KI DHUNI SUNDARS HAI ZOHRA KA PATTHAR HAR SAFED RANG KA PATTHAR HAI US KI DHUNI ZAFRAN HAI ATARU KA PATTHAR NEELE RANG KA PATTHAR HAI WO UMR BHAR TAJURBAT ME MASHGUL REHTA HAI TAJURBAT KE DAURAN WO AISE ASAAR MUSHAHEDA KARTA HAI JO TAHREER ME NAHIN ASAKTE Imam Fakhruddin Razi ka mazmoon yehan par khatam hua ...........,is mazmoon ko ifada e ilmi ke taur par shaya kia gaya hai aharcha isme baaz aise tilismat ka bhi zikar kia gaya hai jis ke jandar ki shakal waghaira banai jati hai ,aur az roye sharah yeh qatan jaiz nahi ,isse yeh na samajhna chahiye ke Imam Fakhruddin Razi aise tilismat banaya karte they ya iske banane ki targheeb de rahe hain balke unho ne Ilmuttalismat ki ifadiyat ke pesh e nazar falasfa aur huakama ke tariqaye tilism sazi ko naqal kia hai ,Amileen aur is fun ke mohaqqiqeen ke ke liye is ,azmoon me bohat kuvh poshida hai goya kooze me darya samo dia hai maslan Imam Razi ne izaat o shorat , rob o dabdaba, mohabbat o ulfat , taskheer mastoorat , taskheer khalq , hajat rawai aur mushkil kushai ke liye sitaro.n ke jin makhsoos darjat ka zikar kia hai wahi is shareef ilm ki bunyadi zarurat hai ab raha tilism sazi ka masla to is silsile me amil apne sawabdeed par aur apni tahqeeq o tajurbat ki raushni me aise tilism tyar kare jo jandar ki shakal o surat se pak ho huroof , anasir , asmaye ilahi aur arwahe falki ke imzajah se baaz aise hairat anghez tilism tyar kiye jate hain jin ki quat aur taseer ko delh kar aqal e insani warta e hairat me doob jati hai raqimusutoor Imran Razvee un aamileen hazrat ko dawat e amal deta hai jo tilismati qawaid o zawabit ko bala e taaq rakh kar mahaz apne qayas e fasida se amal ki tyari me lagte hain lehaza asar zahir na hone ki surat me khud bhi pareshan hote hain aur sail ko bhi mayoos karte hai saheeh waqt ka istekhraaj hi is fun ki jaan hai goya saheeh waqt rooh ki tarha hai aur tilism badan ke mashaba jab rooh mutallaq bilbadan na hoga jism bejqn tasawor kia jayega isi raaz ko Imam Fakhruddin Razi ke mazmoon me talashna ek tajurba kaar aur kuhna mashq aamil ka kaam hai.
|
Comments
Post a Comment